Mutton paye
Ingredients mutton paye
•Mutton paye 4 - ache se saaf kiye huye
•Payaz- 6 -8 ( barik kate hue)
•Adrak lahsun paste - 2 bade chamach
•Dahi- 1/2 cup
•Haldi powder - 1/2 chota chamach
•Laal mirchi powder-1 ,1/2 chota chamach
•Kali mirch powder -1 chota chamach
•Garam masala- 1 bada chamach
•Tej patta - 2,Badi elaichi -2,Choti Elaichi-3,Laung-6,Daal chini-2 tukra,
•Namak sawad anusar
•Tel chaar bada chamach
Recipe ( banane ka tarika)
Paye ko paihlay acha se gehun ka atta laga ke or nimbu ko rub karke dhoyein
Masala banana
Pressur cooker me mustard oil garam karen tej patta,laung ,Badi elaichi,choti elaichi ,daal chini ko bhunein phir kati hui pyaz golden brown honein tak bhunein adrak lahsun paste dal kar ek minute aur bhun lein ab lal mirchi,haldi,dhaniya,garam masala ,kaali mirch powder Namak sawad anusar sab daal kar ek minute aur bhun lein phir paya daalen aur usko bhi bhun lein 10 minute jab tak oil na ajaye phir kacha pyaz upar se daal lein do chota kata hua phir 5 cup pani daal kar 6 sheeti laga lein aur apka mutton paya ready



Comments
Post a Comment